Friday, 28 August 2020

Haqeeqat

 Haqeeqat 

Yeh zindagi ek kwab hai, ya kwab mein zindagi
Mein sab mein ek hun, ya mujh mein sab hai
Baarish ki timtimati boondein, doop mein jagmagate raste
Kis aur sookon hai, aur kis taraf paseena
Yeh sab asal mein kiski parchayi hai,ya parchayi hi asliyat hai
Kaal-antaraal ko bunte dhage, banaate baariki se samay-antariksh ke poudhe
Kya hai haqeeqat, chal hai ya hai apna drishtikon
Buno apne libaz, banavo apna zameen
Man mein ho ya asman mein ho,bano apne haqeeqat ke vazir aur kush rakho apna zameer

No comments:

Post a Comment